Saturday 3 December 2011

Intajar....



Aaj jo raat ka nasha hai
Woh kuch khaas hai
Aahein bicha ke baithe hai hum
Ke unke aane ki aas hai
Lamha lamha beete hai taras kar
Unke intezaar mein
Agle deedar ke liye dhadke hai dil
Sab kuch khaas hai mere yaar mein
Jhalak dekhne ko uski
Saikdo ka dil tarse hai
Chuu lene ko uske husn ki khwaish se
Baarish ki har boond barse hai
na jaane kya nasha hai uski nigaho mein
jo bin piye meri rooh tak behek jaati hai
aana uska jashn se kya kam hai
jo chuu le use, hawa tak mehak jaati hai
sau dafa hue hain khafa
sau dafa hue hain juda
dor aise hai ki khinche chale aate hain
rishta hai anmol, ke hairan hai khud khuda.
hai jo ummeed un se,
na jaane woh kab poori hogi,
beet gayi jo bina unke deedar ke,
toh kambakth poonam ki raat bhi adhoori hogi.....<3