Saturday 3 December 2011

Intajar....



Aaj jo raat ka nasha hai
Woh kuch khaas hai
Aahein bicha ke baithe hai hum
Ke unke aane ki aas hai
Lamha lamha beete hai taras kar
Unke intezaar mein
Agle deedar ke liye dhadke hai dil
Sab kuch khaas hai mere yaar mein
Jhalak dekhne ko uski
Saikdo ka dil tarse hai
Chuu lene ko uske husn ki khwaish se
Baarish ki har boond barse hai
na jaane kya nasha hai uski nigaho mein
jo bin piye meri rooh tak behek jaati hai
aana uska jashn se kya kam hai
jo chuu le use, hawa tak mehak jaati hai
sau dafa hue hain khafa
sau dafa hue hain juda
dor aise hai ki khinche chale aate hain
rishta hai anmol, ke hairan hai khud khuda.
hai jo ummeed un se,
na jaane woh kab poori hogi,
beet gayi jo bina unke deedar ke,
toh kambakth poonam ki raat bhi adhoori hogi.....<3


Thursday 10 November 2011

Meine apne dard ko barbaad kya karu

Meine apne dard ko barbaad kya karu 

Tughse muhhobat ki fariyad kya karu

Aakhir jannat mein tughse mulakat hogi 

Mein jeete jee tera intezar kya karu

Teri tasveer mere dil se mitegi kaise

Aakhen band kerke mein tera deedar kya karu

Jab tughse hi mughe wafai na mili

Mein dunia mein logo ki pahchan kya karu

Tanhai mein jindagi badi begairat hogi

Mein apni maut ka intezar kya karu 

Khuda kabhi mughpe meherban hoga

Mein masjid mein koi dua kya karu

Mere khwabo mein aaegi tu muskurate hue

Ab teri hasi ko yad kya karu

Mere ashq bahenge teri yad mein akasar

Mein apni kismat pe aitraz kya karu

.....mein apne dard ko barbad kya karu..
.....mein apne dard ko barbaad kya karu...


Monday 5 September 2011

Nadan Tha M....

Nadan Tha M..
Jo Foot Foot Kar Roya
Wo Kwahiso ke pul
unchi unchi udan kalpanao ki
lo Dham se aa gira m
na koi kinara raha
na  jine ka sahara
wo hi thi jine ki aas
use pane ki Dil m pyas
Wo sapno ka mahal mera
cheen le aaye jalim
uda gaye aankho ki need
Dil ka chain
Toot kar choor choor
ho chuka hu m
koi inhe samet de...
koi inhe samet de..
koi use lauta de..
koi use lauta de....

Wednesday 24 August 2011

Bahut Yaad Aati Hain Bachpan Ki Baatein…….


    Bahut Yaad Aati Hain, Bachpan Ki Baatein…….
    Wo Thode Chote Se Din, Wo Lambi Si Raatein……

    Wo Papa Ki Ungli, Wo Mummy Ki Aankhen……
    Wo Dada Ka Gussa, Wo Nani Ki Saansein…..

    Wo Teacher Se Masti, Wo Imli Ki Chatni…..
    Wo Ice-Cream Ka Thela, Wo Mahfil Si Jamni….

    Wo Board Par Teacher Ki Picture Banana……..
    Wo Absent Hone Ka, Ekdam Naya Bahana……..

    Wo Exam Ka Fever, Aur Na Notes Ka Hona …….
    Wo Teacher Ke Aagey, Badi Jor-Jor Se Rona…….

    Sabse Achcha Khilona, Wo Bachpan Ki Yaadein……
    Kyun Yaad Aati Hain, Wo Bachapan Ki Baatein…….

    
Mohalle Ki Sabse Nishaani Purani
    Wo Budhiya Jise Bachche Kehte The Naani
    Wo Naani Kee Baaton Mein Pariyon Ka Dera
    Wo Chehre Ke Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phera
    Bhulaaye Nahin Bhool Saqta Hai Koi
    
    Wo Choti Si Raaten Wo Lambi Kahaani
    
 Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna
    Wo Chidiya Wo Bulbul Wo Thithli Pakadna…..
    Kabhi Ret Ke Oonche Tilon Pe Jaana
    Gharonde Banana, Banaake Mitaana
    Wo Maasoom Chaahat Ki Tasveer Apni
    Wo Khwabon Khilono Ki Taabir Jaageer Apni
    Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan

    woh saathi sey ladhna ya ho jhagadna
    ek pal mein hi phir us se lipatna
    na dil mein khalish thi,na koi aham tha
    sang phir uskey roti ka khana
    kahan ab woh din hain kahan hain woh raatein
    mujhey yaad aati hai bachpan ki baatein
    chooti baaton pe rote the ji bhar
    nanhi si khushi se hanste the din bhar
    nanhi si khushi se sub gam bhol jaana..
    mujhe  yaad aati hain bachpan ki yaadein..

    
    Aur Ab.......

    na khushiyan hain ab, na hain woh ratein
    na mitti hai woh ab na lori ki chahat
    na saathi sey mohobat na koi aahat

    Badi Khoobsoorat Thi Wo Zindgaani ..........
    mujhe yaad aati hai bachpan ki baatein
    mujhe  yaad aati hain bachpan ki yaadein........................... 

Monday 22 August 2011

Bahut Yaad Aati Hain Bachpan Ki Baatein…….



    Bahut Yaad Aati Hain, Bachpan Ki Baatein…….
    Wo Thode Chote Se Din, Wo Lambi Si Raatein……

    Wo Papa Ki Ungli, Wo Mummy Ki Aankhen……
    Wo Dada Ka Gussa, Wo Nani Ki Saansein…..
 
    Wo Teacher Se Masti, Wo Imli Ki Chatni…..
    Wo Ice-Cream Ka Thela, Wo Mahfil Si Jamni….

    Wo Board Par Teacher Ki Picture Banana……..
    Wo Absent Hone Ka, Ekdam Naya Bahana……..

    Wo Exam Ka Fever, Aur Na Notes Ka Hona …….
    Wo Teacher Ke Aagey, Badi Jor-Jor Se Rona…….

    Sabse Achcha Khilona, Wo Bachpan Ki Yaadein……
    Kyun Yaad Aati Hain, Wo Bachapan Ki Baatein…….

    
Mohalle Ki Sabse Nishaani Purani
    Wo Budhiya Jise Bachche Kehte The Naani
    Wo Naani Kee Baaton Mein Pariyon Ka Dera
    Wo Chehre Ke Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phera
    Bhulaaye Nahin Bhool Saqta Hai Koi
    
    Wo Choti Si Raaten Wo Lambi Kahaani
    
 Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna
    Wo Chidiya Wo Bulbul Wo Thithli Pakadna…..
    Kabhi Ret Ke Oonche Tilon Pe Jaana
    Gharonde Banana, Banaake Mitaana
    Wo Maasoom Chaahat Ki Tasveer Apni
    Wo Khwabon Khilono Ki Taabir Jaageer Apni
    Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan

    woh saathi sey ladhna ya ho jhagadna
    ek pal mein hi phir us se lipatna
    na dil mein khalish thi,na koi aham tha
    sang phir uskey roti ka khana
    kahan ab woh din hain kahan hain woh raatein
    mujhey yaad aati hai bachpan ki baatein
    chooti baaton pe rote the ji bhar
    nanhi si khushi se hanste the din bhar
    nanhi si khushi se sub gam bhol jaana..
    mujhe  yaad aati hain bachpan ki yaadein..

    
    Aur Ab.......

    na khushiyan hain ab, na hain woh ratein
    na mitti hai woh ab na lori ki chahat
    na saathi sey mohobat na koi aahat

    Badi Khoobsoorat Thi Wo Zindgaani ..........
    mujhe yaad aati hai bachpan ki baatein
    mujhe  yaad aati hain bachpan ki yaadein...........................

Sunday 21 August 2011

Dosti............


FOR MY  LOVELY FRIENDS............

.....Kuch yaade'n h un lmho'n ki

Jin lmho'n me hum sath rahe

Khushyo'n se bhare jazbat rahe

Ek umr guzari h hum ne

Jahan rote hue b hanste the

Kuch kehte the

Kuch sunte the

Hum roz subhah jab milty the

To sab k chehre khilte the

Pur-lutf wo manzar hota tha

Sab mil kr baate'n kerte the

Hum socho kitna hanste the

Wo goonj humari hansne ki,

Ab ek purani yaad bani,

Ye baate'n h un lamho'n ki jin lamho'n mein hum saath rahe...................
.............................


Saturday 20 August 2011

ME TUMSE PYAR KARTA HU,
HAA TUMSE BAHUT PYAR KARTA HU.
YE BAAT ALAG HAI  KI KAH NAHI PATA HU ........

TUMHARI BERUKHI MERA DIL DUKHATI HAI,
AANKHO ME SAILAB UMRANE LAGTA HAI,
GALA RUDH JATA H,
YE BAAT ALAG H KI RO NAHI PATA HU.........

KWHABO ME TUMSE MILNE KI TAMANNA LAKER BICHATA HU RAAT BHAR BISTAR,
FIR AANKHE MUD JOGI KI TARAH DHYAN LAGATA HU,
PAR YE BAAT ALAG H KI SO NAHI PATA HU...........

HAR BAR CHOCHTA HU KI TUMKO NA DEKHU,
PAR NA JANE AISA KYA HAI TERE CEHRE ME,
KI  BINA DEKHE RAH NAHI PATA HU.................

EK NAZAR DEKH LE HAMKO TO,
BINA SANSO KE JI SAKTA HU,
TUMKO ITNA PYAR KARTA HU,
YE BAAT ALAG HAI KI KUCH KAH NAHI PATA HU………

Thursday 18 August 2011

प्यार के पास बहुत वक्त है

प्यार के पास बहुत वक्त है

प्यार के पास बहुत वक्त है

सारी उम्र बीत जाती है

पर आदमी को प्यार के लिए वक्त नही मिलता

और जल्द- बाजी मे प्यार किया नही जा सकता

प्यार की रेल मे चड़ने के लिए कुछ मिनट काफी नही है

कभी -कभी तो पुरी उम्र तक इन्तजार
करने के बाद भी प्यार हम तक पहुचता नहीं

या हम ख़ुद उस तक पहुचते नही
कभी नाते -रिश्ते
कभी कारोबार
तो कभी ख़ुद का अंहकार -रोकता है हमें


संसार के इस महा समुद्र मे जाल बिछा हूवा है
प्रेम के लिए

धन के मोह रूपी इस जाल से
बाहर तो आना ही पडेगा

ताज्जुब है
मनुष्य को प्यारकरने के ही लिए ज्यादा सोचना पङता है

प्यार मे मन के भीतर एक संघर्ष है
हमेशा एक तनाव है

क्योकी

प्यार के पास बहुत वक्त है
और आदमी के पास वक्त नही है...................